رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 10° Saaf 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Punjab mein rabies se aik aur halakat, Mayo Hospital Lahore mein 70 saala Anwar dam tor gaya

Punjab mein rabies se aik aur halakat, Mayo Hospital Lahore mein 70 saala Anwar dam tor gaya
File photo: Mayo Hospital Lahore ki imarat — Tasveer: Bashukriya tribune.com.pk

Lahore: Punjab mein kutte ke kaatne se phailne wali bimari rabies ne aik aur jaan le li. Lahore ke Mayo Hospital mein zer-e-ilaaj 70 saala Anwar dam tor gaya.

Doctors ke mutabiq Jaranwala ka rehayshi Anwar do maah qabl kutte ke kaatne se zakhmi hua tha. Mareez ne ibtidai taur par DHQ Hospital Nankana Sahib se rujoo kiya, jahan se usay 17 October ko Lahore ke Mayo Hospital muntaqil kiya gaya.

Anwar ko hospital ke isolation ward mein rakha gaya, tahum do roz zer-e-ilaaj rehne ke baad woh dam tor gaya.

Doctors ke mutabiq mareez mein rabies ki alamaat zahir ho chuki thin. Rawan maah Punjab mein is bimari ke baais ab tak teen halakatein report ho chuki hain.