رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 11° Saaf 21° / 8°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:15Maghrib 17:52Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Rawan saal Polio ka satwan case Karachi Sharqi se report, qaumi muhim 2 se 8 November tak

Rawan saal Polio ka satwan case Karachi Sharqi se report, qaumi muhim 2 se 8 November tak
File photo: Polio ke qatre — Tasveer: Bashukriya Wikipedia

Karachi: Sindh ke zila Karachi Sharqi se Polio ka ek naya case report hua hai, jis ke baad saal 2026 mein ab tak Polio cases ki majmui tadad saat ho gayi hai.

National EOC ke mutabiq rawan saal report hone wale saat cases mein se paanch Khyber Pakhtunkhwa aur do Sindh se samne aaye. Karachi mein Polio ka aakhri case December 2024 mein report hua tha.

Polio ek laailaaj marz hai, taham vaccine ke zariye is se bachao mumkin hai.

Insidad-e-Polio muhim

National EOC ke mutabiq insidad-e-Polio ki qaumi muhim 2 se 8 November 2026 tak munaqid ki jaye gi. Karachi ke tamam Azla samet mulk ke 97 Azla mein muhim chalayi jaye gi.

Muhim ke dauran 5 saal se kam umar 2 crore 39 lakh se zaid bachchon ko Polio se bachao ke qatre pilaye jayenge.

National EOC ke mutabiq walidain bachchon ko har muhim mein Polio se bachao ke qatre lazmi pilwayen aur Polio vaccine ke sath Hifazati Teeka Jat ka course bhi barwaqt mukammal karwayen.

Mauzuaat: