رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Abr alood 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Punjab: CM E-Bike scheme phase 2 ka aghaz, 4 lakh se zaid talba ki registration

Punjab: CM E-Bike scheme phase 2 ka aghaz, 4 lakh se zaid talba ki registration

Is silsile mein sirf 2 din mein Punjab se 4 lakh 32 hazar talba ki CM E-Bike scheme mein registration hui, jabke 2 lakh 65 hazar talba ki registration ka amal jari hai, CM E-Bike scheme ke liye aik lakh 8 hazar se zaid talba ki darkhwast jama ho gayin, talba CM Electric Bike scheme ke liye bikes.punjab.gov.pk par 4 October tak apply kar sakte hain.

CM E-Bike scheme phase 2 ke liye Punjab ka domicile ya shanakhti card bunyadi zaroorat hai, Higher Education Commission se manzoor shuda sarkari ya nijji degree college ya university ka regular talib-e-ilm hona zaroori hai.

CM Electric Bike scheme ke liye talib-e-ilm ki umar kam az kam 18 saal honi chahiye, apply karne ke liye learner driving license ya motorcycle driving license hona chahiye, CM Electric Bike scheme mein aik family se aik talib-e-ilm ko hi e-bike milegi, wazir-e-aala Maryam Nawaz Sharif ki hidayat par talba ke liye down payment maaf kar di gayi hai.

Hukumat-e-Punjab CM Electric Bike scheme par interest aur insurance bhi ada karegi, CM Electric Bike hasil karne wale talba sirf 3028 rupay mahana ada karenge.

CM Electric Bike scheme mein bike ke sath helmet aur safety rod muft milega, jabke talba ko e-bike ki 2 roza training bhi di jayegi, wazir-e-aala Maryam Nawaz Sharif ne process mukammal hone ke baad 6 hafton mein e-bike ki faraahmi ke liye iqdamat ka hukm diya hai.

Mauzuaat: