رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 14° Saaf 21° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Poultry se 15 lakh khandan wabasta magar bar-amadat 4 million dollar se aage nahin barhin: Aurangzeb

Poultry se 15 lakh khandan wabasta magar bar-amadat 4 million dollar se aage nahin barhin: Aurangzeb

Islamabad (Atemad Desk): Wafaqi wazir-e-khazana Muhammad Aurangzeb ne kaha hai ke Pakistan poultry paidawar mein duniya mein 11wen number par hai aur is shobe se 15 lakh khandan wabasta hain, magar mulk ki poultry bar-amadat 4 million dollar se zyada nahin, jabke alami poultry market ka hajm 45 arab dollar hai.

International Poultry Expo se khitab mein unhon ne bataya ke yeh shoba salana 2.5 arab kilogram gosht aur 28 million ande paida karta hai. Wasti aur junubi Asia ko gosht ki bar-amadat mein poultry ka hissa kam hai, jise barhana zaroori hai.

Wazir-e-khazana ke baqaul aisi numaishein karobari baradari aur sarmaya karon ke rawabit mazboot karti hain aur hukumat poultry industry ke masail hal karne ke liye iqdamat kar rahi hai taake is ki istedad se poora faida uthaya ja sake aur bar-amadat barh saken.

Unhon ne mulk bhar mein sales tax chori ke fori tadaruk ko zaroori qarar diya aur kaha ke wazir-e-azam khud is silsile ke iqdamat ki nigrani kar rahe hain. Unhon ne umeed zahir ki ke sarmaya kari aur karobari rawabit ke zariye Pakistan alami market mein apna hissa barha sakta hai.