Livestock Card Phase 2 ka iftitah: Farmers ko 16 arab 20 crore ke bila sood qarze, fi maweshi 27 hazar rupay milein ge

Lahore (Atemad Desk): Wazir-e-aala Punjab ne Livestock Card ke dusre marhale ka iftitah kar diya, jis ke tahat farmers ko 16 arab 20 crore rupay ke bila sood qarze diye jayein ge aur fi maweshi 27 hazar rupay faraham kiye jayein ge.
Briefing mein bataya gaya ke Livestock Card ke pehle marhale mein diye gaye qarzon ki wapsi ki sharah 96 fisad rahi. Dusre marhale mein farmers qarz ki raqam ka 25 fisad ATM ke zariye naqd bhi nikal sakein ge.
Briefing ke mutabiq Saudi Arabia, China, Azerbaijan aur European mandiyon mein gosht bar-amad karne ke muahide kiye gaye hain, aur aik saal ke dauran Punjab ki gosht ki bar-amadat mein 9 crore 60 lakh dollar ka izafa record kiya gaya hai.
Mauzuaat:Punjab











