Khaleeji tawanai tansibat par hamle Pakistani maeeshat ke liye baais-e-tashweesh: Muhammad Aurangzeb

Bangkok: Wazir-e-khazana Senator Muhammad Aurangzeb ne kaha hai ke Iran jang ke baais tawanai ki barhti hui aalmi qeematon ke ibtidai asraat se Pakistan ab tak nimatne mein kamyab raha hai, taham Saudi Arabia aur deegar khaleeji mumalik mein tawanai ke bunyadi dhanche par hamle mulki maeeshat ke taweel-ul-muddati manzarnamay ke liye tashweesh ka baais hain.
Unhon ne yeh baat Bangkok mein IMF aur World Bank ke salana ijlason ke mauqe par French khabar rasan idare ko interview mein kahi.
Tawanai ki zaruriyat aur LNG
Muhammad Aurangzeb ne kaha ke Pakistan ne November tak ke liye tawanai ki zaruriyat ka intezam kar rakha hai aur ab Mausam sarma ke mahinon ke liye mansooba bandi ki ja rahi hai, jab gharelu tawanai ki talab umooman barh jati hai.
Un ke mutabiq Pakistan ne ibtidai asraat ka moassir andaz mein samna kiya. Mulk mein na eendhan ki kami paida hui, na petrol pumps par qataren lagin aur na hi Aman o Aman ki aisi surat-e-haal paida hui jaisi baaz deegar mumalik mein dekhi gayi.
Wazir-e-khazana ne kaha ke jab tak hukumat ko intihai zaroorat mehsoos na ho, woh LNG ki spot kharidari nahin karegi, kyunke aisi aamdaat pehle se tay shuda muahidon ke tehat aane wali khepon ke muqable mein zyada mehngi hoti hain.
Khaleej ki surat-e-haal par tashweesh
Unhon ne kaha ke tawanai ke bunyadi dhanche ko pohanchne wala nuqsan maeeshati sargarmiyon ki mamool ki bahali mein takheer ka sabab ban sakta hai. Un ka kehna tha: "Mere liye sab se zyada tashweeshnak pehlu yeh hai ke ab tawanai ke bunyadi dhanche ko nishana banaya ja raha hai."
Unhon ne mazeed kaha: "Main diyanatdari se kahoon to mujhe nahin maloom ke yeh surat-e-haal kahan tak ja sakti hai, lekin ek baat bilkul wazeh hai ke agar bunyadi dhanche par hamle jari rahe to halaat mamool par aane mein zyada waqt lagega, hatta ke agar kashidagi kam bhi ho jaye."
Maaliyati nazm o zabt aur islahat
Wazir-e-khazana ne kaha ke Pakistan guzishta kuch arsay se maaliyati nazm o zabt aur maaliyati istehkam ki policy par amal pera hai. Unhon ne bataya ke haliya barson mein tax wasooliyon mein numayan izafa hua hai aur hukumat un nijji karobaron ke khilaf karrawai kar rahi hai jo sarfeen se sales tax wasool karte hain lekin ise sarkari khazane mein jama nahin karate.
Un ke mutabiq is qism ki tax chori se arbon dollar ka nuqsan hota hai, jabke income tax wasooliyon mein mazeed behtari ki bhi gunjaish mojood hai.
Muhammad Aurangzeb ne kaha ke hukumat ke islahati agenday ko sanatoon, dabao dalne wale groupon aur mufadati halqon ki mazahmat ka samna hai. Un ka kehna tha: "Jab bhi aap islahat karte hain aur mojooda nizam ko tabdeel karne ki koshish karte hain to mazahmat samne aati hai."
IMF program ka ek aham juz sarkari idaron ki nijkari bhi hai. Is hawale se jab un se un karobari idaron ke bare mein sawal kiya gaya jo Pakistan ki fauj mukhtalif shobon mein chalati hai, to unhon ne kaha ke in idaron ko hukumati khazane se maali moavinat faraham nahin ki ja rahi.
Unhon ne kaha: "Jahan tak hamara talluq hai, fauj jin tijarati idaron ko chala rahi hai woh apni bunyadon par kaam kar rahe hain aur munafa bakhsh hain. Main yeh wazeh tor par keh sakta hoon ke hum sarkari khazane se unhein koi funds faraham nahin kar rahe."











