رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 21° Juzvi badal 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Jhang: Thal Desert rally mein micro jet tayyara gir kar tabah, pilot Qazi Zafar jaan bahaq

Jhang: Thal Desert rally mein micro jet tayyara gir kar tabah, pilot Qazi Zafar jaan bahaq
File photo: Thal Desert Rally — Tasveer: Bashukriya app.com.pk

Jhang: Maroof pilot Qazi Zafar Thal Desert jeep rally ke dauran hadse mein jaan bahaq ho gaye.

Ittilaat ke mutabiq Jhang mein rally ke dauran paragliding karte hue micro jet tayyara fiza mein buland hote hi aag ki lapet mein aa gaya aur gir kar tabah ho gaya.

Rescue zaraye ke mutabiq hadsa Jhang mein Rehmat Abad ke qareeb pesh aaya, hadse mein pilot jaan bahaq aur ek shakhs zakhmi hua.

Jaan bahaq pilot Qazi Zafar ka taluq Peshawar se tha jo kuch arsa qabl bairoon-e-mulk se Pakistan aaye the. Un ke khandan ka pehle bhi ek pilot Balochistan mein hadse mein jaan bahaq hua tha.

Mauzuaat: