رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 9° Saaf 22° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Iran par mumkina hamla: American tayyara bardar behri jahaz par bunker buster bomb load kiye jane ka inkishaf

Iran par mumkina hamla: American tayyara bardar behri jahaz par bunker buster bomb load kiye jane ka inkishaf
File photo: Amriki tayyara bardar behri jahaz — Tasveer: Bashukriya aljazeera.com

Washington: Sadr Trump ke midterm intikhabat se qabl koi fauji karrawai na karne ki wazeh policy ke bawajood America ne Iran par bari bombardment ki tayyari mukammal kar li hai.

American media ke mutabiq Bahira-e-Arab mein taina’at tayyara bardar behri jahaz USS George Washington par bare paimane par aslaha load kiya ja raha hai. American akhbar ki report ke mutabiq jahaz ka amla bari tadad mein standoff land attack missile aur bunker buster bomb jahaz par charha raha hai.

Wall Street Journal ki reporter Shelby Holliday ne tayyara bardar jahaz ke nayab daure ke dauran gola barood ke dabbon ke bare dheir apni aankhon se dekhe.

American hukkam ne tasdeeq ki hai ke fauj Iran ke khilaf mumkina nayi karrawai ke liye khud ko position kar rahi hai.

Akhbar ke mutabiq load kiye jane wale hathiyar khas taur par Iran ki zer-e-zameen atomi tasisat aur mazboot fauji infrastructure ko tabah karne ke liye mauzoon hain. Bunker buster bomb kai meter moti concrete aur chatanon ko cheer kar andar tabahi machane ki salahiyat rakhte hain.

Yeh pesh raft aise waqt mein samne aayi hai jab Khaleej mein kashidagi urooj par hai. Houthi Riyadh par missile dagh rahe hain aur Abnaye Hormuz mein oil tanker barudi surangon se takra rahe hain.

American intelligence pehle hi Iran ki jaanib se American ahlkaron par hamlon ke khatre mein izafe ki warning jari kar chuki hai.

Mauzuaat: