رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Abr alood 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Governor Sindh Nihal Hashmi ki Liaquat Ali Khan ke mazar par hazri, Dehshatgardi ke khatme par zor

Governor Sindh Nihal Hashmi ki Liaquat Ali Khan ke mazar par hazri, Dehshatgardi ke khatme par zor

Karachi: Governor Sindh Syed Muhammad Nihal Hashmi ne Shaheed-e-Millat aur Pakistan ke pehle wazir-e-azam Khan Liaquat Ali Khan ki barsi ke mauqe par un ke mazar par hazri di, phool charhaye aur fatiha khwani ki.

Unhon ne wazir-e-azam Shehbaz Sharif, sabiq wazir-e-azam Nawaz Sharif aur apni janib se Shaheed-e-Millat ko khiraj-e-aqeedat pesh kiya aur un ke darjat ki bulandi ke liye dua ki. Is mauqe par Governor Sindh ne mehmanon ki kitab mein apne tasurat bhi qalam band kiye.

Media se guftagu

Mazar par hazri ke baad media se guftagu mein Governor Sindh ne kaha ke Shaheed-e-Millat Liaquat Ali Khan ki qaumi khidmat aur qurbaniyan naqabil-e-faramosh hain. Pakistan ka qiyam hamare buzurgon ki bemisal jidd-o-jehd, qurbaniyon aur lazawal azm ka nateeja hai. Yeh mulk hamein plate mein rakh kar nahin diya gaya, balke is ke husool ke liye hamare akabireen ne apna khoon bahaya.

Unhon ne kaha ke Pakistan dushman anasir nahin chahte the ke yeh mulk taraqqi kare, lekin hamari qiyadat ne apni qurbaniyon se is watan ki abyari ki. Liaquat Ali Khan ke aakhri alfaz «Allah Pakistan ki hifazat kare» aaj bhi hamare liye aham paigham hain.

Governor Sindh ne kaha ke ab hamari zimmedari hai ke hum apne akabireen ke khwabon ko paya-e-takmeel tak pahunchayen aur Pakistan ko taraqqi, khushhali aur istehkam ki rah par aage le kar chalen. Un ka kehna tha ke mulk ki taraqqi ka safar jari rahega, aaj bhi Pakistan mein Muslim League ki hukumat hai, wazir-e-azam Shehbaz Sharif mulk ki qiyadat kar rahe hain jabke Nawaz Sharif party ke qaid hain.

Khyber Pakhtunkhwa ki surat-e-haal aur mulki halat se mutaliq sawal ke jawab mein unhon ne kaha ke hamein apne shehron ko jalne aur ujadne se bachana hoga. Unhon ne sawal uthaya ke kya hamare fauji aur shehri isi tarah apni janon ki qurbaniyan dete rahenge. Unhon ne kaha ke Dehshatgardi ka khatma nagaziar hai aur tamam Pakistaniyon ko mutahid ho kar mulk ke aman, istehkam aur taraqqi ke liye kirdar ada karna chahiye.

Siyasi surat-e-haal par unhon ne kaha ke parliamentary jamhooriyat mein ittehadi bante aur bichadte rehte hain, tahum qaumi mufad, aman aur istehkam ko hamesha muqaddam rakhna chahiye. Aaeen aur qanoon ke mutabiq muamlat ko aage barhana zaroori hai, jabke siyasi hum ahangi aur qaumi yakjehti waqt ki aham zaroorat hain.

Karachi ki maashi surat-e-haal se mutaliq sawal par Governor Sindh ne kaha ke Karachi mulki maeeshat mein kaleedi haisiyat rakhta hai. Shehar ki maashi taraqqi, Aman o Aman ke qiyam aur awam ke behtar mustaqbil ke liye tamam mutaliqa fareeqon ko mil kar kaam karna hoga. Bahmi taawun aur mushtarka koshishon se Karachi ko maashi taraqqi ki rah par mazeed aage le kar jana hai.

Is mauqe par moawin-e-khusoosi wazir-e-aala Punjab Rashid Nasrullah ne bhi media se guftagu mein Karachi mein Aman o Aman ki surat-e-haal aur mazi ke iqdamat par izhar-e-khayal kiya. Unhon ne Nawaz Sharif ke daur mein Karachi mein aman ke qiyam ke liye kiye gaye iqdamat ka zikr kiya aur is hawale se un ke kirdar ko saraha.