رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 15° Abr alood 22° / 9°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:13Maghrib 17:50Isha 19:11
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Faisal Qureshi aur Hareem Farooq university mein dance par tanqeed ki zad mein aa gaye

Faisal Qureshi aur Hareem Farooq university mein dance par tanqeed ki zad mein aa gaye

Dono fankar in dinon apni aane wali Punjabi film Mango Jatt ki tashheeri muhim mein masroof hain, jo 16 October ko cinema gharon ki zeenat banegi.

Haal hi mein ek university mein film ki promotion ke dauran Faisal Qureshi aur Hareem Farooq ne Punjabi gaane par raqs kiya, jis ki video Social Media par viral ho gayi.