Adakara Humaira Banu ne shadi ki khabar muddahon se share kar di

Humaira Banu ki jaanib se share ki gayi tasaweer mein woh apne shohar ke humrah maujood hain, taham adakara ne shohar ka chehra camera ki jaanib nahin kiya, jis ke baais tasaweer mein un ki pusht dikhai de rahi hai.
Tasaweer ke saath Humaira Banu ne aik jazbati paighaam bhi share kiya, unhon ne likha ke kabhi kabhi hum apne liye kuch mansooba bandi karte hain lekin Allah hamare liye kuch aur mansooba rakhta hai aur jab Rab kun farma de to phir manzil aasan ho jati hai.
Mauzuaat:Pakistani Showbiz











