رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 14° Saaf 21° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Russia ka Dor-e-Mashriq Asia Pacific ke sath taawun ka aham markaz banega

Russia ka Dor-e-Mashriq Asia Pacific ke sath taawun ka aham markaz banega

Sadr Putin ne kaha ke Asia Pacific khitta aaj aalmi iqtisadi taraqqi ka ek bara markaz ban chuka hai aur Russia is khitte ke sath apne iqtisadi aur tijarati rawabit ko mazeed mazboot karega.

Unhon ne elan kiya ke yakum January 2027 se poore Russian Dor-e-Mashriq aur Arctic mein Karobar aur sarmaya kari ke liye ek muttahid tarjihi nizam nafiz kiya jayega, naye nizam se sarmaya karon ke liye muraaat hasil karna aasan hoga jabke ghair zaroori intizami aur bureaucratic rukawatein kam ki jayengi.

Russian sadr ne kaha ke guzashta 11 barson ke dauran Dor-e-Mashriq mein taqriban 25 trillion rouble ki sarmaya kari hui jabke khitte ki majmooi aalaqai paidawar teen guna se zyada barh gayi hai, yeh nataij sabit karte hain ke Dor-e-Mashriq ki taraqqi ke liye apnayi gayi hikmat-e-amali muassir sabit hui hai, taham ab agle das barson mein taraqqi ki raftar mazeed tez karna hogi.

Sadr Putin ka kehna tha ke Dor-e-Mashriq aur Arctic ke kayi aham iqtisadi ishariyon mein taraqqi ki raftar Russia ki qaumi ausat se zyada hai, in ilaqon ki duniya ke tezi se taraqqi karte iqtisadi marakiz se jughrafiyayi qurbat ek bara musabiqati faida hai, jis se bharpoor faida uthana zaroori hai.

Unhon ne bataya ke Dor-e-Mashriq mein berozgari ki sharah guzashta barson ke dauran chaar guna kam ho kar taqriban 2.2 feesad reh gayi hai, jo Russia ki qaumi ausat ke qareeb aur khitte ke liye tarikhi taur par kam satah hai, nayi sanaton aur sarmaya kari ke baais rozgar aur shehriyon ki aamdani mein bhi izafa hua hai.

Russian sadr ne qudrati wasail ke hawale se wazeh kiya ke Dor-e-Mashriq aur Arctic se nikalne wale khaam maal ko sirf baramad karne ke bajaye zyada se zyada maqami satah par process kiya jana chahiye, dhat sazi, gas, petrochemical sanat aur deegar shobon mein mukammal paidawari silsile qayam karne se nayi mulazmatein paida hongi aur aalaqai maishaton ki aamdani mein izafa hoga.

Vladimir Putin ne jadeed Technology ko khitte ki taraqqi ka aham hissa qarar dete hue elan kiya ke yakum January 2027 se Dor-e-Mashriq mein drones aur deegar baghair pilot nizamon ke liye khusoosi qanooni nizam mutaarif karaya jayega, is ka maqsad nayi Technologies ko tezi se azmana aur amali istemal mein lana hai.

Unhon ne door daraz ilaqon mein saman ki tarseel ke liye drone Technology ko farogh dene aur jadeed baghair pilot transport nizam qayam karne par bhi zor diya.

Sadr Putin ne digital infrastructure ki taraqqi ka zikr karte hue kaha ke 2030 tak quantum communication network ko Dor-e-Mashriq ke tamam aalaqai intizami marakiz tak pohunchane ka hadaf muqarrar kiya jana chahiye.

Apne khitab mein Sadr Putin ne shumali samundri raste aur Trans Arctic transport corridor ko bhi Russia ki mustaqbil ki iqtisadi hikmat-e-amali ka aham hissa qarar diya, unhon ne kaha ke rawan dahai ke ikhtitam tak is corridor ke zariye salana maal bardari ko taqriban do guna barha kar 70 million ton tak pohunchane ka hadaf hai.

Sadr Putin ka kehna tha ke Northern Sea Route ko saal bhar qabil-e-istemal banane ke liye jadeed ice breakers, bandargahon aur deegar Arctic infrastructure ko mazeed taraqqi di jayegi, jis se Europe aur Asia ke darmiyan Russia ki transit aur logistic ahmiyat barhegi.

Russian sadr ne Asia Pacific khitte ko aalmi maishat ka tezi se ubharta hua markaz qarar dete hue kaha ke Russia China, Bharat aur deegar Asian mumalik ke sath musawi aur bahmi faide ki bunyad par tijarat, tawanai, sanat, transport aur sarmaya kari mein taawun barhane ka khwahan hai.

In ke mutabiq Dor-e-Mashriq ko sirf qudrati wasail ka khitta nahin balke jadeed sanat, nayi Technology, aalmi tijarat aur aala miyar-e-zindagi ka markaz banana Russia ki taweel muddati tarjih hai.

Vladivostok mein hone wale plenary ijlas mein Indonesia ke sadr Prabowo Subianto, Mongolia ke wazir-e-azam Nyam-Osoryn Uchral, Myanmar ke first naib sadr Nyo Saw aur China ke naib wazir-e-azam Ding Xuexiang bhi shareek hue.

Gyarahwan Eastern Economic Forum yakum se 4 September tak Russky jazire par waqe Far Eastern Federal University mein jari hai, rawan saal forum ka markazi mauzu “Dor-e-Mashriq, awam ki falah ke liye taraqqi” rakha gaya hai.