رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 13° Saaf 23° / 12°Fajr 05:23Zuhr 12:16Asr 16:10Maghrib 17:47Isha 19:08
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Rakhni mein PTTS ijlas: Khaad dealeron ki verification aur QR code checking ka faisla

Rakhni mein PTTS ijlas: Khaad dealeron ki verification aur QR code checking ka faisla
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Rakhni: Soobai hukumat ke vision “Manshiyat se paak, pur-aman aur khushhal Balochistan” ki roshni mein Deputy Commissioner Barkhan Saeed ur Rehman Kakar ki khusoosi hidayat par aaj tehsil Rakhni mein PTTS ke hawale se ek intihai aham ijlas munaqid hua. Ijlas ki sadarat Assistant Commissioner Rakhni Fahad Hussain Umrani ne ki.

Khaad aur chemical precursors par kadi nigrani

Ijlas mein PTTS yaani Precursors Tracking and Traceability System ke mouassir nifaz, chemical precursors aur khaadon ki shaffaf tarseel, smuggling, zakhira andozi aur black marketing ki roak tham par tafseeli ghaur o khauz kiya gaya.

Assistant Commissioner Rakhni ne kaha ke hukumat Balochistan manshiyat aur chemical ke ghalat istemal ke khilaf zero tolerance policy par amal pairah hai. Unhon ne wazeh kiya ke tehsil Rakhni mein kisi bhi dealer ko baghair license, baghair stock register aur baghair QR code system ke khaad farokht karne ki hargiz ijazat nahin di jayegi.

Unhon ne mazeed kaha ke yeh nizam na sirf khaad ki munsifana taqseem ko yaqeeni banayega balke kisanon ko sarkari nirkhon par khaad ki faraahmi bhi mumkin ho sakegi. Tamam dealers ko hidayat ki gayi ke woh apne stock aur farokht ka mukammal record PTTS portal par baqaidagi se upload karein.

Muttafiqa faislay

Ijlas mein tamam line departments ne shirkat ki. Ijlas mein muttafiqa faisla kiya gaya ke tehsil bhar mein khaad dealeron ki baqaida verification, tamam godamon ka stock audit, har bori par QR code checking aur Price Control ke liye mushtarka teamein tashkeel de kar karrawaiyan jari rakhi jayengi. Khilaf warzi karne walon ke khilaf sakht qanooni karrawai amal mein layi jayegi.

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan