Kachhi: Dhadar mein qaumi shahrah par overloading ke khilaf karrawai, 14 wagnon ke challan

Quetta: Soobai secretary transport Balochistan Muhammad Hayat Kakar aur secretary Provincial Transport Authority (PTA) Balochistan Abdul Majeed Jonjo ki khusoosi hidayat par zila Kachhi ke ilaqe Dhadar mein Quetta Jacobabad qaumi shahrah par overloading, baghair route permit gadiyan chalane aur wagnon ki chhaton par musafiron ko bithane ke khilaf karrawai amal mein layi gayi.
Karrawai ke dauran qawanin ki khilaf warzi karne wali 14 wagnon ke challan kiye gaye, jabke 27 wagnon ke malikan aur drivers ko warning jari karte hue traffic qawanin ki pabandi yaqeeni banane ki hidayat ki gayi.
Yeh karrawai Provincial Transport Authority Balochistan aur traffic police Kachhi ki mushtarka team ne DIG Sibi Muhammad Parvez Imrani, DPO Kachhi Ghulam Murtaza Bhutto aur DSP circle Sher Muhammad ki nigrani mein anjam di.
Musafiron ki hifazat
Hukkam ke mutabiq qaumi shahrah par musafiron ki jaan o maal ka tahaffuz, traffic hadsat ki rok tham aur public transport mein hifazati usoolon par amal daramad yaqeeni banana hai. Hukkam ke mutabiq overloading, ghair qanooni taur par gadiyan chalana, muqarrara gunjaish se zyada musafiron ko bithana aur wagnon ki chhaton par musafiron ko sawar karna na sirf traffic qawanin ki khilaf warzi hai balke yeh musafiron ki zindagiyon ke liye bhi sangeen khatrat paida karta hai.
Chhat par musafiron ko sawar karne se gadi ke ulatne, achanak brake lagne ki soorat mein musafiron ke girne aur shadeed chotein lagne ka khatra barh jata hai. Khusoosan Quetta Jacobabad qaumi shahrah par safar karne wale musafiron ki hifazat ke liye zaroori hai ke transporters gadiyon mein muqarrara tadad se zyada musafiron ko na bithain, chhaton par sawari ki ijazat na dein, route permit aur deegar qanooni dastawezat mukammal rakhein aur gadiyon ki fitness ko yaqeeni banayein.
Provincial Transport Authority Balochistan aur traffic police Kachhi ne wazeh kiya ke qaumi shahrahon par traffic qawanin ki khilaf warzi karne wali gadiyon ke khilaf karrawaiyan jari rahengi.
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











