رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 13° Saaf 23° / 12°Fajr 05:23Zuhr 12:16Asr 16:10Maghrib 17:47Isha 19:08
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid
Safha-e-Awwal› Balochistan ›Qila Abdullah

Qila Abdullah: Gulistan mein insidad-e-bhang muhim, mazeed 195 acre arazi bhang se paak

Qila Abdullah: Gulistan mein insidad-e-bhang muhim, mazeed 195 acre arazi bhang se paak
File photo: Gulistan mein bhang ki fasal ke khatme ki karwai — Tasveer: Bashukriya quettavoice.com

Qila Abdullah: Mehkama Excise and Taxation ne zila Qila Abdullah ki tehsil Gulistan mein insidad-e-bhang muhim 2026 ke tahat bhang ki kasht ke khatme ke liye mushtarka karwai ke dauran mazeed 195 acre arazi ko bhang ki kasht se paak kar diya gaya, jis ke baad muhim ke aghaz se ab tak bhang ki kasht khatm ki gayi arazi ka majmooi raqba 1,141 acre tak pahunch gaya hai.

Mehkame ke officers ka kehna tha ke 24 October ko tehsil Gulistan ke ilaqon Qadeel Segai aur Abdul Rehman Zai mein zilai intezamia Qila Abdullah ne mushtarka karwai ki. Karwai mein Assistant Commissioner Gulistan, Assistant Director ANF, FC ke Captain Shaviz (77 Wing), DSP Gulistan, Mehkama Excise and Taxation samet deegar qanoon nafiz karne wale idaron ne hissa liya.

Mushtarka teamon mein police, FC, Anti Narcotics Force (ANF), Mehkama Excise and Taxation aur zilai intezamia ke ahalkar shamil the. In mein 92 acre arazi par dasti tareeqe se, 62 acre par tractor ke zariye aur 24 acre par weed cutters ki madad se bhang ko talaf kiya gaya, jabke 17 acre raqbe par pani ki qillat ke baes bhang ki kasht khatm ki gayi.

Hukkam ke mutabiq insidad-e-bhang muhim 2026 ka silsila bhang ki kasht ke mukammal khatme tak jari rahega, jis ka maqsad ilaqe mein manshiyat ki kasht ki rok tham aur is ke khatme ke liye mushtarka idara jati iqdamat ko moassar banana hai.