Mir Kalmati Inter Educational Sports Festival Gwadar: Girls Events ke doosre roz Football aur Cricket ke muqable

Gwadar: Mir Kalmati Inter Educational Sports Festival 2026 ke Girls Events ke doosre roz bhi mukhtalif khelon ke muqable bharpoor josh o kharosh se jari rahe. Festival mehkama Taleem, Private Schools Association aur Idara Taraqiyat Gwadar ke ishtirak se munaqid kiya ja raha hai.
Football ke muqablon mein Darul Uloom Public School Gwadar ne Government Girls Higher Secondary School Gwadar ko, jabke Gwadar Grammar School ne Government Girls High School Shambe Ismail Gwadar ko shikast di.
Cricket mein Bahria Model College Gwadar ne University of Gwadar ko, jabke Government Girls High School Shambe Ismail ne Government Girls High School Bakhshi Colony ko shikast de kar doosre round ke liye qualify kar liya.
Muqablon ke mehman-e-khusoosi Director Schools Balochistan Munir Ahmed Nodezai the. Is mauqe par chairman Mir Abdul Ghafoor Kalmati Welfare Foundation Gwadar Mir Arshad Kalmati, District Education Officer Zahid Hussain, Deputy DEO Hassan ul Islam, Head Mistress Government Girls Higher Secondary School Gwadar Rashida Afzal, Girls Events ki sarbarah Bilquis Suleman, District Sports Supervisor Ali Aqib aur Foundation ke numainde samet deegar afraad mojood the.
Mehman-e-khusoosi ne khilariyon se mulaqat aur musafaha kiya aur talba o talibat ke liye musbat aur sehat mand sargarmiyon ke inqiad par Mir Arshad Kalmati ki kawishon ko saraha. Unhon ne kaha ke Taleem ke sath khelon ka farogh sehat mand,ba-salahiyat aur mutaharrik muashre ki tashkeel ke liye nihayat aham hai aur aise iqdamat naujawanon mein nazm o zabt, team work aur musbat soch ko farogh dete hain.
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











