America aur Iran ke darmiyan kashidagi, alami mandi mein tel ki qeematon mein izafa

Dusri janib American West Texas Intermediate khaam tel ki qeemat 92 cent ya 1.10 fisad izafe ke baad 84.32 dollar fi barrel hogayi.
Tajziya karon ka kehna hai ke surat-e-haal ek baar phir kashidagi mein izafe ke marhale mein dakhil hogayi hai. Yeh surat-e-haal kitni der barqarar rahegi, is baare mein kuch kehna mushkil hai, yeh chand din bhi ho sakte hain aur kayi hafte bhi.
Wazeh rahe ke America ne Iran ke jazeere Larak par fizai hamla kiya jis mein Pasdaran-e-Inqilab ke 2 rocket launchers tabah karne ka daawa kiya gaya.
Irani Pasdaran-e-Inqilab ne daawa kiya hai ke jazeera Larak par American hamle mein mutaddid Irani ahalkar aur shehri shaheed o zakhmi hue, baad mein Iran ne Larak jazeere par hamle ke jawab mein Qatar aur Jordan mein tainaat American forces par hamla kar diya.











