رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Ziarat mein mahkama Water Management ke mansoobe: talab, hifazati band, tube well aur pipe linon par kaam jari

Ziarat mein mahkama Water Management ke mansoobe: talab, hifazati band, tube well aur pipe linon par kaam jari
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Ziarat: Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti ke vision aur soobai hukumat ke awami falah o behbood ke azm ke mutabiq zila Ziarat mein mahkama Water Management ke tahat mukhtalif aham mansoobon par kaam jari hai.

In mansoobon mein talabon ki taameer o bahali, hifazati bandat ki taameer, tube wells ki tansib aur saaf pani ki faraahmi ke liye pipe linein bichhana shamil hai.

Mahkama Water Management ke in iqdamat ka maqsad zila mein pani ke wasail behtar banana, zarai zaruriyat ke liye pani ki dastiyabi yaqeeni banana, selabi pani se zarai arazi ko mehfooz rakhna aur awam ko saaf pani ki sahulat dena hai. Soobai hukumat zila ke door daraz ilaqon mein bunyadi sahuliyat ki faraahmi aur awami masail ke hal ke liye taraqqiyati mansoobon par khusoosi tawajjoh de rahi hai.

Tasveer: bashukriya DG PR Balochistan