Ziarat District Health Committee: Contract doctors ki jald tainaati aur ghair hazir amle ki tankhwahon mein katauti ka faisla

Ziarat: Deputy Commissioner Ziarat Abdul Quddus Achakzai ki zer-e-sadarat District Health Committee ka aham ijlas munaqid hua, jis mein Assistant Commissioner Ziarat Sher Shah Ghilzai, District Health Officer Dr Muhammad Rafiq Mastoi, DSMP PPHI Mumtaz Ali, Tehsildar Noor Ahmed Kakar, MS DHQ Dr Anwar Mandokhel, MS Tehsil Headquarters Hospital Sanjawi Dr Nooral Baqi, Accounts Officer Abdul Ghani Panezai, Drug Inspector Muhammad Adeel, Aminullah aur Farmanullah ne shirkat ki.
Ijlas mein zila bhar mein mahkama Sehat ki karkardagi ko mazid behtar aur faal banane ke liye aham faislay kiye gaye, jin mein contract doctors ki jald tainaati aur ghair hazir doctors aur amle ki tankhwahon se katauti shamil hain.
Deputy Commissioner Abdul Quddus Achakzai ne wazeh kiya ke doctors aur paramedical staff ki ghair hazri kisi surat bardasht nahin ki jayegi aur faraiz mein ghaflat baratne walon ke khilaf sakht mahkamana karrawai amal mein layi jayegi.

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











