رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 19° Saaf 21° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Zeeshan Rafiq ki hidayat: Khali plotson mein pade kooray ko hargiz nazar-andaz na kiya jaye

Zeeshan Rafiq ki hidayat: Khali plotson mein pade kooray ko hargiz nazar-andaz na kiya jaye

Lahore: Wazir-e-baldiyat Zeeshan Rafiq ki zer-e-sadarat Suthra Punjab Authority office mein ijlas hua, jis mein Gujranwala, Lahore, Rawalpindi, Sargodha, DG Khan, Bahawalpur, Multan aur Faisalabad division ka jaiza liya gaya.

Wazir-e-aala ke focal person bara-e-Suthra Punjab Asim Mahmood, Director General Local Government Benish Fatima ke alawa tamam Local Government aur municipal officers neba-zariya video link shirkat ki. Director General Suthra Punjab Authority Umar Javed ne safai operations par briefing di.

Union Council secretaries ko hidayat

Zeeshan Rafiq ne kaha ke tamam Union Council secretaries ko Suthra Punjab ke mutalliqa supervisor aur workers ki fehrist faraham kar di gayi hai. Har secretary Union Council apne zer-e-intezam dehaat mein safai ki nigrani yaqeeni banaye.

Unhon ne kaha ke smog season ke baais tamam municipal staff field monitoring bhi karega. Unhon ne zor diya ke kisi jagah kooRa ya faslon ki baqiyat jalane ki fauran report ki jaye.

Wazir-e-baldiyat ke mutabiq assistant aur deputy directors Local Government bhi nigrani ke amal mein shamil honge, jabke shehron mein wards ki satah par municipal officers ki duty laga di gayi hai.

Unhon ne kaha ke khali plotson mein pade kooray ko hargiz nazar-andaz na kiya jaye, yaumiya aur hafta-war report lazmi bhijwayi jaye. DG Local Government aur secretary board suba-i satah par nigrani karenge.

Mauzuaat: