رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 20° Saaf 22° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Yaum-e-Shuhada Police: Wazir-e-Dakhila Ziaullah Langove ka Balochistan Police ko jadeed hathiyaron se lais karne ka elaan

Quetta: Soobai wazir-e-dakhila Balochistan Mir Ziaullah Langove ne kaha hai ke Balochistan Police ke afsaran aur jawanon ne soobe mein Aman o Aman ke qiyam ke liye lazawal qurbaniyan di hain aur un ki khidmaat hamesha sunehri huroof mein yaad rakhi jayengi.

Yaum-e-Shuhada Police ki taqreeb se bahaisiyat mehman-e-khusoosi khitab karte hue unhon ne kaha ke Balochistan aik hassas soba hai jahan Dehshatgardi samet mukhtalif security challenges ka samna hai, taham Balochistan Police ne apni pesha-warana salahiyaton aur jurrat ke zariye qiyam-e-aman mein kaleedi kirdar ada kiya hai. Unhon ne kaha ke Balochistan Police ko mustaqbil ke challenges se nimatne ke liye jadeed hathiyaron aur aalaat se lais kiya jaye ga.

Mir Ziaullah Langove ne kaha ke Balochistan Police ne awam ke jaan o maal ke tahaffuz ko hamesha awwaleen tarjeeh di aur har mushkil ghari mein apni zimmedariyan ahsan andaz mein nibhayin. Hukumat-e-Balochistan shuhada ki azeem qurbaniyon ko kabhi faramosh nahin karegi aur un ke ahl-e-khana ki falah o behbood ke liye har mumkin iqdamaat jari rakhegi.

Wazir-e-dakhila ne kaha ke shuhada ka ehteram hum sab par farz hai kyunke unhi ki qurbaniyon ki badaulat aaj aman qaim hai. Unhon ne Balochistan Police ke afsaran aur jawanon ko kharaj-e-tehseen pesh karte hue kaha ke un ki khidmaat poori qaum ke liye baais-e-fakhr hain.

Unhon ne is azm ka izhar kiya ke hukumat, police wa deegar qanoon nafiz karne wale idaron aur awam ke bahami taawun se Balochistan ko aman, taraqqi aur khushhali ka gehwara banaya jaye ga.

Soobai wuzara Mir Shoaib Nushirwani, Mir Zahoor Ahmed Buledi, Mohtarma Rahila Hameed Durrani, Bakht Muhammad Kakar, Ali Madad Jattak Central Police Office Quetta mein munaqid Yaum-e-Shuhada ki taqreeb ke mauqe par shuhada ke lawahiqeen ko tohfe de rahe hain
Soobai wuzara Mir Shoaib Nushirwani, Mir Zahoor Ahmed Buledi, Mohtarma Rahila Hameed Durrani, Bakht Muhammad Kakar, Ali Madad Jattak Central Police Office Quetta mein munaqid Yaum-e-Shuhada ki taqreeb ke mauqe par shuhada ke lawahiqeen ko tohfe de rahe hain

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan