Tambu Khankot mein sarak kinare dafn 30 kilo barudi mawad nakara, Dehshatgardi ki koshish nakam
Dera Murad Jamali: Tambu Khankot ke ilaqe mein Dehshatgardi ka mansooba nakam bana diya gaya. Sarak kinare nasb barudi mawad ko nakara bana diya gaya.
Police ke mutabiq Khankot thane ki hudood mein Mir Liaquat Umrani ki zarai arazi ke qareeb sarak kinare barudi mawad nasb hone ki ittila mili thi.
Ittila par police aur security forces ne mushtarka karrawai ki aur zer-e-zameen dafn tees kilo dhamaka khez mawad ko nakara bana diya, jis se ilaqa bari tabahi se bach gaya.
Waqye ka muqadma Khankot thane mein namaloom dehshatgardon ke khilaf darj kar ke tehqiqat shuru kar di gayi hain.
Mauzuaat:Dera Murad Jamali











