Supreme Court Quetta Registry ke naye Administration Block ka sang-e-bunyad, 226 million rupees ka mansooba aik saal mein mukammal hoga

Quetta: Supreme Court of Pakistan Quetta branch registry ke naye, jadeed aur state of the art Administration Block ka sang-e-bunyad rakh diya gaya.
Taqreeb mein Chief Justice of Pakistan Justice Yahya Afridi, Justice Jamal Khan Mandokhail, Justice Naeem Akhtar Afghan, Justice Muhammad Hashim Khan Kakar aur Chief Justice Balochistan High Court Justice Muhammad Kamran Khan Mulakhail samet aala adalati o intizami hukkam ne shirkat ki. Supreme Court of Pakistan ke Justice Jamal Khan Mandokhail aur Supreme Court Quetta branch registry ke Deputy Registrar Mir Hussain ne naye Administration Block ka sang-e-bunyad rakha.
Is moqe par Chief Justice of Pakistan Justice Yahya Afridi aur Chief Secretary Balochistan Shakeel Qadir Khan ne Quetta pine ka poda laga kar Shajarkari bhi ki. Taqreeb mein Balochistan High Court ke moazziz judges, senior wukala, adalati afsaran aur deegar mutaalliqa hukkam bhi maujood the.
226 million rupees ka mansooba
Naye Administration Block ki tameer par taqriban 226 million rupees lagat aayegi, jabke mansooba aik saal ki muddat mein mukammal kiya jayega. Mansoobe ki tameer mehkama Communication and Works ki nigrani mein amal mein layi jayegi.
Naye Administration Block mein jadeed taqazon ke mutabiq intizami o daftari sahuliyat faraham ki jayengi, jis se Supreme Court Quetta branch registry ke intizami umoor ko mazeed moasir, munazzam aur behtar banane mein madad milegi. Jadeed imarat ki takmeel se adalati nizam se wabasta afsaran, amle aur deegar mutaalliqa afraad ko bhi behtar sahuliyat muyassar aayengi.
Taqreeb ke moqe par adalati o intizami hukkam ne is amr par zor diya ke adalati idaron mein jadeed infrastructure aur sahuliyat ki faraahmi se na sirf intizami istedad mein izafa hoga balke insaaf ki faraahmi ke amal ko bhi mazeed moasir aur sahal banane mein madad milegi.



Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











