SSP Gwadar Ataur Rehman Tareen ka science o art numaish ka daura, talibat ke mansoobon ko saraha

Gwadar: Senior Superintendent of Police Gwadar Ataur Rehman Tareen ne China Pakistan Government Girls High School Faqeeri Colony mein munaqid science o art numaish 2026 ka daura kiya. Is moqe par DSP Gwadar Chakar Khan bhi un ke hamrah the. Unhon ne talba ke science mansoobon, takhliqi models aur fan paron ka tafseeli muaina kiya.
Ataur Rehman Tareen ne kaha ke talba ke pesh kardah science projects aur takhliqi fan pare intehai shandar aur qabil-e-satayish hain. Kam umri mein bachon ki mehnat, salahiyat aur takhliqi soch un ke roshan mustaqbil ki akkasi karti hai, aur is kamyab numaish ka sehra school intizamia aur asatiza ke sar hai jinhon ne behtareen rehnumai se bachon ki poshida salahiyatein ujagar kin.
Unhon ne kaha ke aisi sargarmiyan talba mein tehqeeq, takhliqi soch aur khud aitemadi ko farogh deti hain, aur zarurat is amr ki hai ke bachon ki salahiyaton aur kamyabiyon ko media aur deegar moasir platforms par bharpoor andaz mein ujagar kiya jaye taake un ki hausla afzai ho.
Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan











