Soobai wazir Saleem Ahmed Khosa ka Balochistan mein jari wafaqi taraqqiati mansoobon ki raftar taiz karne ka hukm

Quetta: Soobai wazir muwasalat o taamirat Mir Saleem Ahmed Khosa ki zer-e-sadarat soobe mein jari wafaqi mansoobon par pesh raft ka jaiza lene ke liye aham ijlas munaqid hua, jis mein secretary muwasalat o taamirat Babar Khan, chief engineer federal projects Dr Sajjad Baloch, mukhtalif mansoobon ke project directors aur deegar mutaalliqa hukkam ne shirkat ki.
Chief engineer federal projects Dr Sajjad Baloch ne soobe mein jari tamam wafaqi taraqqiati mansoobon ki pesh raft, takmeel ke liye muqarrara time frame, darpesh maali o technical mushkilat aur deegar umoor par tafseeli briefing di.
Secretary muwasalat o taamirat Babar Khan ne kaha ke soobe mein jari wafaqi mansoobe intihai ahmiyat ke haamil hain jin ki takmeel se bunyadi dhanche mein numaya behtari aaye gi aur taraqqi ke amal mein nayi raftar paida hogi. Mahkama in mansoobon ki pesh raft ka tasalsul ke saath jaiza le raha hai, aur mansoobon ki raah mein haail maali ya technical masail tarjihi bunyadon par hal karne ke liye har mumkin iqdamat kiye ja rahe hain taake kaam muqarrara muddat mein mukammal hon aur awam ko in ke samrat jald hasil hon.
Soobai wazir Mir Saleem Ahmed Khosa ne kaha ke namusaid halaat ke bawajood taraqqiati mansoobon ko jari rakhna aur takmeel ki jaanib le jana qabil-e-tehseen hai. Unhon ne hidayat ki ke wafaqi mansoobon par kaam ki raftar mein mazeed tezi laayi jaye aur barwaqt takmeel mein haail tamam rukawatein door ki jayen.
Unhon ne kaha ke yeh mansoobe soobe ke awam ke liye intihai aham hain; in ki takmeel se na sirf bunyadi dhancha behtar hoga balke safri mushkilat mein bhi numaya kami aaye gi. Wafaq ki jaanib se Balochistan ke liye aham nauiyat ke mutaddid mansoobe faraham kiye gaye hain jin se soobe ki maashi o samaji taraqqi ko farogh milega.
Soobai wazir ne afsaran par zor diya ke woh apni tamam tar salahiyatein barue kaar la kar mansoobon ki barwaqt aur miyari takmeel yaqeeni banayen aur muassir hikmat-e-amli ikhtiyar karein. Un ka kehna tha ke hukumat awam ko behtar safri o bunyadi sahuliyat ki faraahmi ke liye sanjeeda iqdamat kar rahi hai aur wafaqi mansoobon ki barwaqt takmeel is silsile mein aham sang-e-meel sabit hogi.
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











