Soobai wazir Haji Noor Muhammad Dummar ne daftar mein sailin ke masail sune, hal ke liye hukkam ko hidayat

Quetta: Soobai wazir commodity management department o chairman Balochistan Food Authority Haji Noor Muhammad Dummar ne apne daftar mein mukhtalif ilaqon se aaye hue sailin se mulaqat ki aur un ke masail o mushkilat tafseel se sune.
Soobai wazir ne mutalliqa hukkam ko masail ke hal ke liye zaroori iqdamat ki hidayat jari kin aur sailin ko yaqeen dehani karai ke awami masail ke hal aur har mumkin relief ki farahmi ke liye tamam dastiyab wasail baroye kaar laye jayenge. Unhon ne kaha ke awam ki khidmat aur masail ka barwaqt izala hukumat ki awleen tarjihat mein shamil hai aur awam ko kisi soorat mayoos nahin kiya jayega.
Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan











