رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 18° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Soobai wazir Haji Ali Madad Jattak se Jattak House Asif Abad mein halqe ke umaedeen ki mulaqat, awami masail par guftagu

Soobai wazir Haji Ali Madad Jattak se Jattak House Asif Abad mein halqe ke umaedeen ki mulaqat, awami masail par guftagu
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: Pakistan PPP ke markazi rahnuma o soobai wazir Haji Ali Madad Jattak se Jattak House, Asif Abad mein halqa intekhab se talluq rakhne wale dost ahbab, umaedeen aur mukhtalif shobah haye zindagi se wabasta afrad ne mulaqat ki.

Mulaqat mein bahmi dilchaspi ke umoor, halqe ki majmooi surat-e-haal, jari taraqqiyati sargarmiyon aur awami masail par tafseeli tabadla-e-khayal hua, aur shurka ne apne ilaqon ke masail aur zaruriyat se soobai wazir ko agah kiya.

Haji Ali Madad Jattak ne yaqeen dilaya ke awam ki khidmat aur un ke masail ka barwaqt hal un ki awwaleen tarjeeh hai. Unhon ne kaha ke halqe ke awam se musalsal rabta rakha ja raha hai taake masail barah-e-raast maloom karke mutalliqa idaron ke zariye hal kiye ja sakein, aur awami numainda gi ka asal maqsad logon ke masail aiwan aur hukkam tak pahunchana aur un ke hal ke liye amali kirdar ada karna hai.

Soobai wazir ne kaha ke halqe ki taraqqi ke liye jari iqdamat mazeed muassir banaye jayenge aur awami zaruriyat ko madde nazar rakhte hue naye taraqqiyati mansoobon par bhi tawajjoh di ja rahi hai. Mulaqat ke liye aane walon ne awam se musalsal rabte par un ki koshishon ko saraha aur mukhtalif umoor par tajaveez pesh keen.

Tasveer: bashukriya DG PR Balochistan