رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 14° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Secretary Baladiyat Abdul Rauf Baloch ki zer-e-sadarat mehkama Baladiyat o Dehi Taraqqi ki karkardagi aur ahdaf ka jaiza

Secretary Baladiyat Abdul Rauf Baloch ki zer-e-sadarat mehkama Baladiyat o Dehi Taraqqi ki karkardagi aur ahdaf ka jaiza
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: Secretary mehkama Baladiyat o Dehi Taraqqi Balochistan Abdul Rauf Baloch ki zer-e-sadarat mehkama ke tamam wings aur sections ka ijlas munaqid hua, jis mein mehkama ki majmui karkardagi, guzishta aur maujuda maali saal ke ahdaf, taraqqiyati mansoobon, intizami umoor, afradi quwwat, Azla mein mehkamana maujoodgi aur deegar aham umoor ka tafseeli jaiza liya gaya.

Ijlas mein Secretary Local Government Board Shujaat Ali Baloch, Chief Officer Metropolitan Corporation Quetta Nazar Zehri aur focal person Local Government Taha Junaid samet mehkama ke mutalliqa afsaran ne shirkat ki. Ijlas mein Chief Secretary Balochistan ke daftar ki janib se matloobah mehkamana presentation ko hatmi shakl di gayi, jis mein mehkama ki karkardagi aur mustaqbil ke ahdaf ki tafseelat shamil ki gayin.

Mansoobe, asamiyan aur naye intizami units

Ijlas mein guzishta saal PSDP aur Non-PSDP ke tehat mukammal mansoobon, jari schemon aur mehkamana sargarmiyon ka jaiza liya gaya, jabke maujuda maali saal ke ahdaf aur Rules of Business ke tehat mehkama ki zimmedariyon aur tarjihaat par bhi ghaur hua. Khali asamiyon, grade wise afradi quwwat aur ibtidai bharti o taraqqi (Promotion) ke liye mukhtas asamiyon par bhi briefing di gayi. Secretary ne hidayat ki ke bhartiyon aur taraqqiyon mein merit, shaffafiyat aur qawaid o zawabit par mukammal amalderamad yaqini banaya jaye taake ahl aurba-salahiyat afradi quwwat ko aage aane ke musawi mawaqe milein.

Ijlas mein mukhtalif Azla aur sub divisions mein mehkama ki maujoodgi, tainaat amle, khali asamiyon, sarkari milkiyati aur kiraye ki imaraat mein qaim daftar aur faal o ghair faal daftar ki tafseelat ka jaiza liya gaya. Afsaran o ahlkaron ke liye dastiyab rihayishi sahuliyat aur un ki behtari ki tajaweez par bhi ghaur kiya gaya. Naye Azla, sub divisions aur divisions ke qiyam se mutalliq zer-e-ghaur cases aur summaries ki pesh raft ka jaiza lete hue mujawwaza intizami units ke liye darkar asamiyon, bunyadi dhanche, daftari imaraat aur rihayishi sahuliyat ki tafseelat pesh ki gayin.

Ijlas mein PSDP aur maujuda budget ki majmui suratehal, taraqqiyati funds ke istemal aur maali tarjihaat ka bhi jaiza liya gaya, aur afsaran ko mansoobon ki barwaqt takmeel aur funds ke muassir o shaffaf istemal ke liye murabbat hikmat-e-amli ikhtiyar karne ki hidayat ki gayi. March 2024 se 30 June 2026 tak ke do barson mein mehkama ki aham kamyabiyon, jin mein taraqqiyati o ghair taraqqiyati iqdamat, baladiyati idaron ki behtari, intizami islahaat aur awami sahuliyat ki faraahmi shamil hain, ko bhi presentation ka hissa banaya gaya.

Secretary Abdul Rauf Baloch ne kaha ke mehkama Baladiyat o Dehi Taraqqi bunyadi satah par awam ko sahuliyat ki faraahmi aur baladiyati nizam ko muassir banane mein kaleedi kirdar ada kar raha hai. Unhon ne hidayat ki ke tamam wings aur sections apni karkardagi, ahdaf, budget, afradi quwwat, khali asamiyon aur taraqqiyati mansoobon ke tamam aadad o shumar aur record update rakhein, Chief Secretary office ki matloobah malumat ki tayyari mein mukammal taawun karein aur baahami rabta o coordination ko mazeed mazboot banayein. Unhon ne afsaran par zor diya ke woh apne faraiz poori zimmedari, peshawarana salahiyat aur awami khidmat ke jazbe se anjam dein.

Tasveer: bashukriya DGPR Balochistan

Mauzuaat: