رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 22° Saaf 22° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Sariab Satellite Town mein aata mehnga bechne walon ke khilaf karrawai, 7 afrad girftar

Sariab Satellite Town mein aata mehnga bechne walon ke khilaf karrawai, 7 afrad girftar
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: Deputy Commissioner Quetta Mehrullah Badini ke ahkamat aur awami shikayat par Assistant Commissioner Sariab Musawir Ahmed ki team ne Satellite Town ke ilaqe mein aate ki zaid qeemat par farokht ke khilaf karrawai ki.

Karrawai ke dauran aata dealers, retailers aur mukhtalif dukanon ka muayena kiya gaya aur sarkari nirkhon par aate ki farokht yaqeeni banane ke liye qeematon ka jaiza liya gaya. Sarkari nirkhon se zaid qeemat par aata farokht karne wale 7 afrad ko girftar kar liya gaya.

Zila Intizamia Quetta ne wazeh kiya ke awami shikayat par fori karrawai ka silsila jari rahega aur muqarrara sarkari nirkhon ki khilaf warzi kisi soorat bardasht nahin ki jaye gi.

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan