Sanjawi mein maan ka doodh pilane ki ahmiyat par agahi seminar

Sanjawi: Deputy Commissioner Abdul Quddus Achakzai aur Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti ke ahkamat par Balochistan Nutrition Directorate ke taawun se maan ka doodh pilane ke hawale se agahi seminar munaqid hua.
Seminar mein Assistant Commissioner Sanjawi Mir Man Kakar, District Health Officer Ziarat Dr Rafiq Mastoi, MS THQ Sanjawi Dr Abdul Baqi, DM PPHI Ziarat Mumtaz Ali Rind, District Coordinator Malaria Control Programme IHHN Juma Khan aur District Coordinator BND Programme Ziarat Ali Shan ne shirkat ki.
Shurka ne bachche ki paidaish ke fauran baad maan ka doodh shuru karwane, pehle chhe mah tak sirf maan ka doodh pilane aur maan aur bachche ki munasib ghizaiyat ki ahmiyat par tafseeli guftagu ki. Seminar ke ikhtitam par maan ka doodh pilane se mutalliq awami agahi ko farogh dene aur maaon aur bachchon ki behtar Sehat ke liye iqdamat jari rakhne ke azm ka izhar kiya gaya.
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











