Sanjawi mein lumpy skin disease se bachao ki vaccination muhim, 300 maweshiyon ko vaccine laga di gayi

Sanjawi: Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti ke vision aur mahkama livestock ki hidayat ke mutabiq zila Ziarat ki tehsil Sanjawi mein janwaron ko lumpy skin disease (Lumpy Skin Disease) se mehfooz rakhne ke liye vaccination muhim jari hai.
District Livestock Officer Dr Naveed ki sarbarahi mein mahkama livestock ki teemen mukhtalif ilaqon mein maweshi pal hazraat ke janwaron ko hifazati vaccine laga rahi hain. Ab tak 300 gaye aur deegar maweshiyon ko vaccine lagayi ja chuki hai, jabke muhim ko mazeed ilaqon tak wusat di ja rahi hai.
Lumpy skin disease maweshiyon ki ek mutaddi bimari hai jo umooman machhron, makhiyon aur deegar khoon choosne wale keeron ke zariye ek janwar se doosre janwar tak muntaqil ho sakti hai.
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











