Saba Qamar ka maazi mein sathi adakar ki mohabbat mein giraftar hone ka inkishaf

Adakara Saba Qamar mutaddid kamyab dramon mein markazi kirdar nibha chuki hain aur muddahon ki jaanib se unki adakari ko saraha jata hai.
Saba Qamar in dinon Britain mein maujood hain jahan unhon ne charity taqreeb mein shirkat ki aur is dauran muddahon ke sawalat ke jawabat bhi diye.
Adakara ne guftagu ke dauran chand saal qabl filmi sathi adakar ki mohabbat mein giraftar hone ka inkishaf bhi kiya.
Saba Qamar ne kaha ke mujhe aik sathi adakar se mohabbat ho gayi thi, yeh mere dramon ka nahin balke is film ka sathi adakar tha jis mein kuch saal pehle kaam kiya tha taham ab woh shadi shuda hain is liye mein un ka naam zahir nahin karoon gi warna un ki ahliya unhein mushkil mein daal sakti hain.
Adakara ka kehna tha ke jab mein ne bhanji se is ka zikr kiya to us ne kaha ke khala unhein bhool jayen aur zindagi mein aage barhein kyunke aap log shooting kar rahe the, mein ne bhanji ki baat se ittefaq kiya aur kaha ke theek hai.
Saba Qamar ka bayan Social Media par viral ho raha hai aur sarifeen ki jaanib se mukhtalif adakaron ke naam le kar andaze lagaye ja rahe hain.











