رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 12° Saaf 21° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Rakhni: Assistant Commissioner Fahad Hussain Umrani ka charge sanbhalte hi khaad o beej ki dukanon par chhapa, aik dukan seal

Rakhni: Assistant Commissioner Fahad Hussain Umrani ka charge sanbhalte hi khaad o beej ki dukanon par chhapa, aik dukan seal
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Rakhni: Assistant Commissioner Rakhni Fahad Hussain Umrani ne charge sanbhalte hi Rakhni bazar ka achanak daura kiya aur khaad, beej aur zarai spray farokht karne wali dukanon ka muaina kiya. Naib tehsildar Rakhni Allah Nawaz, patwari Waqar Ahmed aur deegar ahalkar un ke hamrah the.

Daure mein khaad ki farokht par hukumati pabandi aur deegar zawabit par amal-dar-amad ka jaiza liya gaya. Assistant Commissioner ne dukandaron ke license o dastawezat, khaad ke wazan, zarai spray ke miyar o expiry date, beej ke miyar aur muqarrara nirkhon ki checking ki. Mukammal kaghzat na rakhne wale dealers par jurmane aid kiye gaye aur aik dukan seal kar di gayi.

Assistant Commissioner ne dukandaron ko hukumati qawanin, miyar aur muqarrara nirkhon ki mukammal pabandi ki hidayat ki aur wazeh kiya ke khilaf warzi par qanoon ke mutabiq sakht karrawai hogi.

Tasweer: bashukriya DGPR Balochistan

Mauzuaat: