Quetta se 3 lakh 50 hazar se zaid Afghan muhajirin wapas ja chuke, 23 hazar baqi: Commissioner Zeeshan Lashari ka ijlas

Quetta: Commissioner Quetta Division Zeeshan Lashari ki zer-e-sadarat ghair mulkiyon aur Afghan muhajirin ki wapsi, jari karwaiyon aur pesh raft ka jaiza lene ke liye aham ijlas munaqid hua.
Ijlas mein Deputy Commissioner Quetta Mehrullah Badini, Deputy Commissioner Quetta West Munir Ahmed Durrani, Assistant Commissioner Revenue Quetta Division Syed Kalimullah, Special Branch, police, FIA, NADRA, mahkama dakhila, aqwam-e-muttahida ke Afghan muhajirin se mutaliq idaron aur deegar mutaliqa mahkamon ke afsaran shareek hue.
Ijlas mein Afghan muhajirin ki wapsi ke liye ab tak ki gayi karwaiyon, intizami iqdamat, pesh raft, darpesh mushkilat aur aainda ke laiha-e-amal ka tafseeli jaiza liya gaya.
Briefing mein bataya gaya ke soobe bhar se ab tak taqriban 8 lakh Afghan muhajirin ko wapas Afghanistan bheja ja chuka hai, jabke Quetta se 3 lakh 50 hazar se zaid Afghan muhajirin razakarana taur par ya intizamia ki karwaiyon ke nateeje mein wapas ja chuke hain. Wapsi ke amal ko muassir banane ke liye zilai intizamia, police aur FC samet mutaliqa idaron ki mushtarka karwaiyan jari hain, aur Quetta mein is waqt taqriban 23 hazar Afghan muhajirin baqi hain jin ki wapsi ke liye karwai ki ja rahi hai.
Ijlas mein wapsi ke dauran pesh aane wali intizami aur amali mushkilat par bhi ghaur kiya gaya aur afsaran ko bahmi rabta kari mazeed muassir banane ki hidayat ki gayi taake yeh amal qawaid o zawabit ke mutabiq aage barhaya ja sake.
Faisla kiya gaya ke wapsi ke baad dobara Pakistan aane wale ya jin ki dobara aamad ki itlaat mili hain, aise Afghan muhajirin ke khilaf karwai ke liye mahkama dakhila se baqaida hidayat li jayengi, jis ke baad qanoon aur hukumati policy ke mutabiq aainda laiha-e-amal akhtiyar kiya jayega.
Commissioner Zeeshan Lashari ne hidayat ki ke wapsi ke amal mein tamam mutaliqa idaron ke darmiyan muassir rabta kari yaqeeni banayi jaye aur karwaiyan hukumati ahkamat o policy ke mutabiq aage barhayi jayen.
Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan











