Quetta: Sara Gharghai mein mujawwaza sports complex ki zameen ka Additional Deputy Commissioner Revenue ne muaina kiya

Quetta: Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti ke ahkamat aur Deputy Commissioner Quetta Mehr Ullah Badini ki hidayat par Additional Deputy Commissioner (Revenue) Quetta Hafiz Muhammad Tariq ne tehsildar sub division Saddar Karim Bugti aur mahkama maal ke deegar afsaran o ahlkaron ke hamrah Sara Gharghai mein banne wale mujawwaza sports complex ki jagah ka daura kiya.
Afsaran ne sports complex ke liye mukhtas zameen ka mauqe par muaina aur jaanch partaal ki, jabke zameen ki hudood aur record se mutaliq umoor ka bhi jaiza liya gaya.
Additional Deputy Commissioner (Revenue) ne mutaliqa amle ko zameen ki mukammal jaanch partaal aur zaroori record ki takmeel yaqeeni banane ki hidayat ki.
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan
Mauzuaat:Quetta











