Quetta: Nuskhe ke baghair controlled adviyat bechne wale medical store seal, malik giraftar hoga, Health Committee ka faisla

Quetta: Deputy Commissioner Quetta Mehrullah Badini ki zer-e-sadarat District Health Committee ka aham ijlas munaqid hua, jis mein zila bhar mein sehat ki sahuliyat, tibbi amle ki hazri, adviyat ki faraahmi, drug control aur deegar umoor ka tafseeli jaiza liya gaya.
Ijlas mein DHO Quetta, Deputy DHO, District Manager PPHI, mehkama population, MS Mufti Mahmood hospital, drug controller aur deegar mutaalliqa afsaran ne shirkat ki.
DHO Quetta ne tamam RHCs mein amle ki dastiyabi, adviyat ki faraahmi aur darpesh masail par briefing di, jabke District Manager PPHI ne zila Quetta ke 53 BHUs ki karkardagi aur sahuliyat se aagah kiya. Drug controller ne adviyat ki nigrani aur drug qawaneen par amalderamad ke hawale se briefing di.
Ijlas mein faisla kiya gaya ke koi bhi medical store mustanad doctor ke nuskhe ke baghair controlled adviyat farokht nahin karega. Khilaf warzi ki soorat mein medical store ko fori taur par seal kiya jayega aur malik ke khilaf qanooni karrawai karte hue use giraftar kiya jayega.
Deputy Commissioner Mehrullah Badini ne hidayat ki ke awam ko miyari tibbi sahuliyat ki faraahmi, adviyat ki dastiyabi aur drug qawaneen par sakhti se amalderamad har soorat yaqeeni banaya jaye.
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan











