Quetta: Mizai Adda Sadar thane par hamla, aik shakhs jaan bahaq, ehlkar zakhmi
Quetta: Mizai Adda Sadar thane par namaloom dehshatgardon ke hamle ke nateeje mein aik shakhs jaan bahaq aur aik ehlkar zakhmi ho gaya. Waqiye se ilaqe mein khauf o haras phail gaya.
Police ke mutabiq guzishta shab Quetta Chaman qaumi shahrah par Mizai Adda ke qareeb Sadar thane par namaloom dehshatgardon ne hamla kiya.
Firing ke nateeje mein Jilani Khan mauqe par jaan bahaq ho gaye, jabke police ehlkar Mir Wais Khan zakhmi ho gaye.
Waqiye ki ittila milte hi police aur security forces ki bhari nafri mauqe par pahunch gayi. Jawabi karrawai par hamla aawar faraar hone mein kamyab ho gaye.
Zakhmi ehlkar aur nash ko hospital muntaqil kar diya gaya. Nash zaroori karrawai ke baad warsa ke hawale kar di gayi. Mazeed karrawai police kar rahi hai.











