رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Quetta mein nirkhon ki khilaf warzi par tandooron aur gosht faroshon ke khilaf karrawai, 28 afrad girftar

Quetta mein nirkhon ki khilaf warzi par tandooron aur gosht faroshon ke khilaf karrawai, 28 afrad girftar
تصویر: بشکریہ ڈی جی پی آر بلوچستان

Quetta: Deputy Commissioner Quetta Mehrullah Badini ki hidayat par zilai intezamia ne muqarrara nirkhon ki khilaf warzi karne wale tandooron aur gosht faroshon ke khilaf shehar ke mukhtalif ilaqon mein karrawaiyan keen, jin ke dauran 28 afrad ko girftar karke jail muntaqil kar diya gaya jabke 6 dukanein seal kar di gayin.

Zilai intezamia ki teemon ne Sariab Road, Nawan Killi, Airport Road, Alamoon Chowk, Kasi Road, Sirki Road aur deegar ilaqon mein tandooron aur gosht ki dukanon ka moayena kiya aur khilaf warzi karne walon ke khilaf qanooni karrawai amal mein layi.

Yeh karrawaiyan Assistant Commissioner Saddar Muhammad Yousuf Hashmi, Assistant Commissioner City Muhammad Amir Hamza, Assistant Commissioner Sariab Musawwir Ahmed, Special Magistrate City Ejaz Hussain Khosa aur Special Magistrate Sariab Izzatullah ki nigrani mein ki gayin.

Deputy Commissioner Mehrullah Badini ne wazeh kiya ke awam ko muqarrara nirkhon par ashya-e-zaroriya ki faraahmi mein kotahi ya khilaf warzi bardasht nahin ki jaye gi aur giran faroshon ke khilaf karrawaiyan bila imtiaz jari rahengi.

Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan