Quetta mein khule khushk doodh ki farokht par pabandi, Deputy Commissioner ka giraftari aur dukanein seal karne ka inteebah

Quetta: Chief Minister Balochistan ke ahkamat ki roshni mein Quetta mein khule khushk doodh ki farokht par pabandi aid kar di gayi hai. Is hawale se Deputy Commissioner Quetta ki zer-e-sadarat aham ijlas munaqid hua, jis mein Director Food Authority, District Health Officer (DHO), Drug Inspectors aur Assistant Commissioners ne shirkat ki.
Ijlas mein faisla kiya gaya ke dukanon aur deegar muqamat par khule khushk doodh ko mukhtalif brands ya bachon ki tasaweer wale muqami markajat ke naam se farokht karne ke khilaf sakht karrawai ki jayegi. Hukkam ke mutabiq aise khule khushk doodh par expiry date aur deegar zaroori maloomat darj nahin hotin, jabke is ki ghair mehfooz farokht bachon ki Sehat ke liye nuqsan deh aur khatarnak sabit ho sakti hai.
Deputy Commissioner Quetta ne tamam dukandaron ko sakhti se tanbeeh ki ke khula khushk doodh farokht karne se fori taur par gurez karein. Kisi bhi dukan ya godam se khula khushk doodh baramad hone ki soorat mein zimmedar afrad ke khilaf qanooni karrawai, giraftari aur dukan seal karne samet sakht iqdamat kiye jayenge.
Ijlas mein medical stores par bhi khule khushk doodh ki farokht par mukammal pabandi aid karne ka faisla kiya gaya, jabke shehar bhar ke medical stores ki checking bhi ki jayegi. Is maqsad ke liye mehkama Food Authority, mehkama Sehat, Drug Inspectors aur zilai intezamia par mushtamil mushtarka teamein tashkeel de di gayi hain jo mukhtalif ilaqon mein karrawaiyan aur muainah karengi.
Deputy Commissioner Quetta ne mutaliqa afsaran ko hidayat ki ke bachon ki Sehat se mutaliq kisi bhi qisam ki ghaflat ya ghair miyari ashya ki farokht bardasht nahin ki jayegi aur khilaf warzi karne walon ke khilaf bila imtiaz karrawai amal mein layi jaye.

Tasweer: bashukriya DGPR Balochistan











