Quetta mein giranfaroshon ke khilaf karwaiyan: kam wazan roti aur nirkhnamay ki khilaf warzi par 24 afraad jail muntaqil

Quetta: Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti ke ahkamat aur Deputy Commissioner Quetta Mehrullah Badini ki hidayat par zilai intezamiya ki janib se giranfaroshon aur sarkari nirkhnamay ki khilaf warzi karne walon ke khilaf karwaiyon ka silsila jari hai.
Karwaiyon ke dauran kam wazan roti farokht karne wale tandooron, qassabon aur milk shops ka muaina kiya gaya, aur muqarrara nirkhon aur wazan ki khilaf warzi par 24 afraad ko girftar kar ke jail muntaqil kar diya gaya.
Zilai intezamiya ki teemon ne Satellite Town, Bhosa Mandi, Ghousabad, Kasi Road, Sirki Road, Toghi Road aur deegar ilaqon mein mukhtalif dukanon aur karobari markaz ka muaina kiya.
Deputy Commissioner Quetta Mehrullah Badini ne wazeh kiya ke shehriyon ko muqarrara nirkhon par miyari ashya-e-khurdonosh ki faraahmi yaqeeni banane ke liye giranfaroshi, kam wazan aur sarkari nirkhnamay ki khilaf warzi ke khilaf karwaiyan bila imtiyaz jari rahengi.

Tasveer: bashukriya DGPR Balochistan











