Quetta mein giranfaroshon ke khilaf karrawaiyan, sarkari narkhnamay ki khilaf warzi par 25 afraad girftar

Quetta: Chief Minister Balochistan Mir Sarfraz Bugti ke ehkamat aur Deputy Commissioner Quetta Mehrullah Badini ki hidayat ki roshni mein zilai intezamia ne shehar ke mukhtalif ilaqon mein giranfaroshon aur sarkari narkhnamay ki khilaf warzi karne walon ke khilaf karrawaiyan keen. In karrawaiyon ke dauran 25 afraad ko girftar kar ke jail muntaqil kar diya gaya, jabke muta’addid dukandaron ko sakht warning bhi jari ki gayi.
Zilai intezamia ki teemon ne Kuchlak, Sariab, Kasi Road, Gawalmandi Chowk aur deegar ilaqon mein gosht faroshon, tandooron aur milk shops samet mukhtalif karobari marakiz ka muaina kiya. Sarkari narkhnamay par amal daramad na karne, zaid qeemat wasool karne aur deegar khilaf warziyon par qanooni karrawai amal mein layi gayi.
Deputy Commissioner Quetta ne wazeh kiya ke awam ko ashiya-e-zaruriya sarkari narkhon par faraham karna zilai intezamia ki awwalin tarjeeh hai, aur giranfaroshi ke khilaf karrawaiyan bila imtiyaz jari rahengi.
Tasveer: bashukriya DGPR Balochistan











