رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Quetta mein 12 Rabi ul Awwal ke intezamat ka jaiza; DC Mehrullah Badini ki foolproof security ki hidayat

Quetta mein 12 Rabi ul Awwal ke intezamat ka jaiza; DC Mehrullah Badini ki foolproof security ki hidayat
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: 12 Rabi ul Awwal ki tayyariyon, security intezamat aur deegar umoor ka jaiza lene ke liye Deputy Commissioner Quetta Mehrullah Badini ki zer-e-sadarat ijlas munaqid hua jis mein Deputy Commissioner (West) Munir Ahmed Durrani samet tamam mutaliqa mahkamon ke afsaran, Jamaat Ahle Sunnat ke ohdedaran, Ulema Conference aur deegar numainDgan ne shirkat ki.

Ijlas mein Safa Quetta, Metropolitan Corporation Quetta (MCQ), PDMA, QESCO, Sui Gas, police, FC, mahkama Sehat (DHO) aur deegar idaron ke numainde shareek hue. Shurka ko 12 Rabi ul Awwal ke juloos o majalis ke routes, safai suthrai, security, bijli ki faraahmi aur shehar mein roshni ke intezamat par tafseeli briefing di gayi.

Deputy Commissioner ne hidayat ki ke majalis aur juloos ke tamam routes par safai ke khusoosi intezamat kiye jayen, tamam majalis ke maqamat par bijli ki bila-taatul faraahmi yaqeeni banayi jaye aur shehar o aham shahrahon par lights ki tansib o marammat mukammal ki jaye.

Unhon ne security idaron ko 12 Rabi ul Awwal ke tamam programs ke liye foolproof security plan par amal-daramad yaqeeni banane ki hidayat ki aur kaha ke traffic management, emergency response aur tibbi sahuliyat samet deegar intezamat ko bhi marboot banaya jaye. Deputy Commissioner ne kaha ke is moqe par aman o aman, safai, security aur shehri sahuliyat mein koi kotahi bardasht nahin hogi aur tamam idare bahami rabte se faraiz anjam dein.

Darein asna Deputy Commissioner (West) Quetta Munir Ahmed Durrani ne apne ohde ka charge sambhal kar faraiz ki adaigi shuru kar di hai.

Deputy Commissioner Quetta Mehrullah Badini o deegar shurka 12 Rabi ul Awwal ke hawale se munaqida ijlas mein khusoosi dua kar rahe hain, is moqe par Deputy Commissioner (West) Quetta Munir Ahmed Durrani bhi mojood hain

Deputy Commissioner Quetta (West) Munir Ahmed Durrani ne apne ohde ka baqaida charge sambhal kar faraiz ki anjam dehi ka aghaz kar diya
Deputy Commissioner Quetta (West) Munir Ahmed Durrani ne apne ohde ka baqaida charge sambhal kar faraiz ki anjam dehi ka aghaz kar diya

Tasveer: bashukriya DGPR Balochistan