Quetta: Kam umar aur shanakhti card ke baghair afrad par water tanker chalane ki pabandi, khilaf warzi par giraftari hogi

Quetta: Additional Deputy Commissioner (General) Quetta Muhammad Anwar Kakar ki zer-e-sadarat water tanker association ka ijlas munaqid hua, jis mein traffic police, secretary RTA aur association ke numainda’on ne shirkat ki.
Ijlas mein faisla kiya gaya ke kam umar bachchon aur baghair qaumi shanakhti card ke kisi bhi shakhs ko water tanker chalane ki ijazat nahin hogi. Khilaf warzi ki soorat mein sakht qanooni karrawai, giraftari aur water supply band ki jaye gi.
Tamam tanker malikan ko hidayat ki gayi ke woh hifazti iqdamat par amal karein, tamam tankeron ki agli aur pichhli lights faal rakhein aur drivers ke driving license banwane aur un ki tajdeed ka amal jald mukammal karein.
Additional Deputy Commissioner (General) Muhammad Anwar Kakar ne kaha ke shehriyon ki jaan o maal ke tahaffuz par koi samjhota nahin kiya jaye ga aur traffic qawanin ki khilaf warzi karne walon ke khilaf bila imtiyaz karrawai jari rahe gi.
Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan











