رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 14° Saaf 21° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Quetta: Fatima Jinnah Road, Badam Gali aur Chohar Mal Road par 70 se zaid Tajawuzat khatam, 4 afraad girftar

Quetta: Fatima Jinnah Road, Badam Gali aur Chohar Mal Road par 70 se zaid Tajawuzat khatam, 4 afraad girftar
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: Deputy Commissioner Quetta Mehrullah Badini aur Administrator Quetta Bashir Ahmed Barech ki hidayat par shehr ko Tajawuzat se paak aur munazzam banane ke liye Fatima Jinnah Road, Badam Gali aur Chohar Mal Road par ghair qanooni Tajawuzat ke khilaf karwai ki gayi.

Yeh karwai wazir-e-aala Balochistan Mir Sarfraz Ahmed Bugti ke “Saaf Quetta” vision ke mutabiq ki gayi, jis mein Assistant Commissioner City Muhammad Hamza, Special Magistrate Imran Zeb Kasi, Aijaz Hussain Khosa, Magistrate City, Magistrate MCQ aur Anti-Encroachment Officer Metropolitan Corporation Quetta ne hissa liya.

Operation ke dauran sarkon, footpaths aur awami guzargahon par qaim 70 se zaid ghair qanooni Tajawuzat khatam kar di gayin, Tajawuzat mein istemal hone wala saman zabt kar liya gaya aur Metropolitan Corporation Quetta ki janib se 4 afraad ko girftar kar liya gaya.

Intezamia ki janib se mutaliqa dukandaron aur Tajawuzat qaim karne walon ko pehle hi notices jari kiye gaye the, taham muqarrara muddat mein Tajawuzat khatam na karne par qanooni karwai amal mein layi gayi.

Zila intezamia ne wazeh kiya ke shehr ki aham shahrahon, bazaron aur footpaths ko Tajawuzat se paak rakhne ke liye operations ka silsila jari rahega aur sarkari arazi samet awami guzargahon par ghair qanooni qabze kisi soorat bardasht nahin kiye jayenge.

Tasveer: bashukriya DGPR Balochistan