رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

Quetta: Arazi hasool ke mansoobon ke awards aur intiqalat par jaiza ijlas, zer-e-iltawa cases jald nimtane ki hidayat

Quetta: Arazi hasool ke mansoobon ke awards aur intiqalat par jaiza ijlas, zer-e-iltawa cases jald nimtane ki hidayat
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Quetta: Additional Deputy Commissioner (Revenue) Quetta Hafiz Muhammad Tariq ki zer-e-sadarat mukhtalif arazi hasool ke mansoobon mein manzoor shuda awards ki pesh raft aur hasil shuda arazi ke intiqalat mutaliqa hasool kuninda mahkamon ke naam muntaqil karne ke hawale se jaiza ijlas munaqid hua, jis mein Tehsildar City, Sariab, Saddar, Kuchlak samet deegar mutaliqa afsaran ne shirkat ki.

Ijlas mein mukhtalif mansoobon, manzoor shuda awards par pesh raft, zer-e-iltawa umoor aur intiqalat ki muntaqili ki maujooda soorat-e-haal ka tafseeli jaiza liya gaya.

Hafiz Muhammad Tariq ne mutaliqa afsaran ko hidayat ki ke arazi hasool se mutaliq umoor muqarara muddat mein mukammal kiye jayen aur zer-e-iltawa intiqalat ko tarjihi bunyadon par nimtate hue hasool kuninda mahkamon ke naam muntaqil karne ke amal ko tez kiya jaye.

Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan