Qila Abdullah: District Health Committee ijlas mein Sehat markaz ki karkardagi par itminan ka izhar

Qila Abdullah: District Health Committee (DHC) ka aham ijlas Deputy Commissioner Munawar Hussain Magsi ki zair-e-sadarat munaqid hua, jis mein zilae mein sehat-e-aamma ki mujmui surat-e-haal, bunyadi markaz-e-sehat ki karkardagi aur awam ko baroqt o miyari tibbi khidmat ki faraahmi ka tafseeli jaiza liya gaya.
Ijlas mein District Police Officer Khalil Ahmed Bugti, Additional Deputy Commissioner General Engineer Najamuddin, District Health Officer Dr Abdul Salam Khosa, District Manager PPHI Ziaur Rehman, District Khazana Officer Faisal Khan, MS DHQ Hospital Dr Abdul Ghaffar Kakar, Masood Ahmed Achakzai, District Health Committee ke arakeen aur ACASUS team ne shirkat ki.
Independent Monitoring Unit (IMU) ne zilae ke Sehat markaz aur sehat-e-aamma se mutaliq tafseeli report pesh ki, jis par ghaur ke baad mujmui karkardagi par itminan ka izhar kiya gaya. Deputy Commissioner ne DHO Dr Abdul Salam Khosa, District Manager PPHI Ziaur Rehman, MS Dr Abdul Ghaffar Kakar samet tamam afsaran aur tibbi amle ki mehnat ko saraha.
Unhon ne kaha ke zilae mein Sehat ki sahuliyat ko mazeed behtar banana zilai intizamiya ki tarjihat mein shamil hai aur mahkama Sehat ko har mumkin taawun diya jayega. Unhon ne zor diya ke bunyadi Sehat ki sahuliyat awam ki dehleez tak pahunchane ke liye muassir nigrani, bahami rabte aur marboot hikmat-e-amali ke tehat iqdamat tez kiye jayen.

Tasveer: bashukriya DGPR Balochistan











