رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 10° Saaf 22° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid

PPHI Gwadar ke Dr Munir Ahmed Baloch ka Nalent aur Kapar ke bunyadi marakiz-e-sehat ka achanak daura

PPHI Gwadar ke Dr Munir Ahmed Baloch ka Nalent aur Kapar ke bunyadi marakiz-e-sehat ka achanak daura
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Gwadar: Soobai hukumat ki sehat-e-amma ke shobe mein islahat, bunyadi marakiz-e-sehat ko faal banane, awam ko miyari tibbi sahuliyat ki faraahmi aur sehat ke nizam mein muassir nigrani o barwaqt reporting ke iqdamaat ke tehat Peoples Primary Healthcare Initiative (PPHI) Gwadar ke zilai manager Dr Munir Ahmed Baloch ne bunyadi marakiz-e-sehat Nalent aur Kapar ka achanak daura kiya.

Unhon ne donon BHUs mein hazri register check kiya aur tamam mutaliqa amla duty par maujood paya gaya. Dr Munir Ahmed Baloch ne tibbi o intizami record samet mukhtalif shobajaat ka tafseeli jaiza liya aur awam ko faraham ki jane wali sehat ki sahuliyat ke miyar ko mazeed behtar banane par zor diya.

Is mauqe par unhon ne amle ko DHIS-2 ke tehat rozana o mahana reporting, community support group ke ijlason aur mahana DHIS app mein barwaqt o durust reporting ke hawale se on job tarbiyat faraham ki.

Unhon ne hidayat ki ke soobai hukumat ki sehat-e-amma policy ke mutabiq marakiz-e-sehat mein amle ki hazri, mareezon ko barwaqt tibbi sahuliyat ki faraahmi, record ki durustgi aur reporting ke nizam ko muassir banaya jaye taake door daraz ilaqon ke awam ko behtar aur miyari sehat ki sahuliyat muyassar aa sakein.

Gwadar: Zilai manager PPHI Dr Munir Ahmed Baloch bunyadi marakiz-e-sehat Nalent aur Kapar ke daure ke mauqe par tibbi sahuliyat ka jaiza le rahe hain
Gwadar: Zilai manager PPHI Dr Munir Ahmed Baloch bunyadi marakiz-e-sehat Nalent aur Kapar ke daure ke mauqe par tibbi sahuliyat ka jaiza le rahe hain

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Mauzuaat: