رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 16° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid
Safha-e-Awwal› Balochistan ›Naseerabad

Naseerabad: Zarai income tax, abiana aur ushr ke baqayajaat ki wusooli tez karne ki hidayat, nadehendgan ko notice jari honge

Naseerabad: Zarai income tax, abiana aur ushr ke baqayajaat ki wusooli tez karne ki hidayat, nadehendgan ko notice jari honge
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Naseerabad: Deputy Commissioner Naseerabad Virender Lal ki zair-e-sadarat revenue officers ka aham ijlas munaqid hua, jis mein zila bhar mein sarkari wajibaat ki wusooli, revenue umoor aur zamindaron par wajib-ul-ada baqayajaat ka tafseeli jaiza liya gaya.

Revenue officers ne zarai income tax, abiana aur ushr ki madd mein baqayajaat ki wusooli ki surat-e-haal aur muqarara ahdaf par briefing dete hue bataya ke wusooli ke liye iqdamaat kiye ja rahe hain, taham baaz zamindaron ki janib se barwaqt adaigi na hone ke baais baqayajaat maujood hain. Deputy Commissioner ne ahdaf, ab tak ki pesh raft aur baqayajaat ki tafseelat bhi daryaft kin.

Virender Lal ne kaha ke hukumat ke wajib-ul-ada baqayajaat ki wusooli sarkari umoor ka aham hissa hai. Unhon ne hidayat ki ke zarai income tax, abiana aur ushr samet deegar wajibaat ki wusooli ke liye moassir aur munazzam hikmat-e-amli ikhtiyar ki jaye aur rozana ki bunyad par pesh raft ka jaiza liya jaye.

Unhon ne kaha ke jin zamindaron ke zimme wajibaat hain unhein muqarara tareeqa kaar ke mutabiq notice jari kiye jayein aur adam adaigi ki surat mein qanoon ke tehat karrawai amal mein layi jaye. Revenue officers field mein apni mojoodgi yaqeeni bana kar wusooli ki moassir nigrani karein aur ahdaf muqarara muddat mein hasil karein. Unhon ne wazeh kiya ke wusooli mein ghaflat ya susti bardasht nahin ki jaye gi aur officers ki karkardagi ki baqaida monitoring hogi.

Naseerabad: Deputy Commissioner Naseerabad Virender Lal government ke baqayajaat ki wusooli ke hawale se revenue officers ke munaqida ijlas ki sadarat kar rahe hain
Naseerabad: Deputy Commissioner Naseerabad Virender Lal government ke baqayajaat ki wusooli ke hawale se revenue officers ke munaqida ijlas ki sadarat kar rahe hain
Naseerabad: Deputy Commissioner Naseerabad Virender Lal revenue officers ke ijlas ki sadarat kar rahe hain
Naseerabad: Deputy Commissioner Naseerabad Virender Lal revenue officers ke ijlas ki sadarat kar rahe hain

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan