رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 18° Saaf 22° / 12°Fajr 05:21Zuhr 12:16Asr 16:12Maghrib 17:49Isha 19:10
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid
Safha-e-Awwal› Balochistan ›Musakhel

Musakhel mein muzir-e-sehat jari bootiyon ke khilaf spray muhim shuru, malaria aur dengue ki roktham mein madad

Musakhel mein muzir-e-sehat jari bootiyon ke khilaf spray muhim shuru, malaria aur dengue ki roktham mein madad
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Musakhel: Hukumat-e-Balochistan ke saaf suthre aur awam dost vision ke tehat Deputy Director Zaraat Tawseea Shamsul Haq ki nigrani mein Zaraat colony, sarkari daftar aur shehar ke deegar hisson mein muzir-e-sehat jari bootiyon ke khilaf spray ka amal shuru kar diya gaya hai. Yeh muhim hukumat-e-Balochistan ke mahaul dost vision ki amali akkasi hai.

Nuksan deh aur khud ro jari bootiyan na sirf mahaul ki khoobsurti ko mutasir karti hain balkeh machharon, hasharat aur mukhtalif bimariyon ke phailao ka sabab bhi banti hain. Galiyon aur sarkari daftar se in jari bootiyon ka khatma machharon aur deegar muzi hasharat ki afzaish roke ga, jis se malaria aur dengue jaise amraz par qabu pane mein madad milegi, jabke safai ki is muhim se zila Musakhel ka qudrati husn bhi nikhar kar samne aaye ga.

Deputy Director Zaraat ne kaha ke spray ke douran aur is ke foran baad shehri ehtiyat bartein, khas taur par bachchon aur paltu janwaron ko spray shuda hisson se door rakhein taake chemical ke muzir asraat se bacha ja sake.

Umeed zahir ki gayi hai ke zilai intizamia aur Agriculture Department ki yeh mushtarka kawishein mustaqbil mein bhi jari rahein gi taake Musakhel ko aik misali, saaf suthra aur sarsabz zila banaya ja sake.

Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan