رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Aye mere Rab! In dono par reham farma jaise inhon ne bachpan mein mujhe pala Bani Israil 24
Quetta 12° Saaf 22° / 9°Fajr 05:20Zuhr 12:16Asr 16:14Maghrib 17:51Isha 19:12
Balochistan ki awaz, October 1970 seQuetta se shaya hone wala roznama · Editor-in-Chief: Javid Ahmad · Editor: Kamran Javid
Safha-e-Awwal› Balochistan ›Musakhel

Musakhel: Deputy DHO ka tehsil Kingri ke markaz-e-sehat ka daura, EPI sites ka muaina

Musakhel: Deputy DHO ka tehsil Kingri ke markaz-e-sehat ka daura, EPI sites ka muaina
Tasveer: Bashukriya DGPR Balochistan

Musakhel: Deputy DHO Dr Nadir Khan ne tehsil Kingri ke mukhtalif buniyadi markaz-e-sehat mein qaim EPI fixed sites ka daura kiya. Is mauqe par ASV Sher Zaman aur Qaiser Shah bhi un ke hamrah the.

Daure ke dauran buniyadi markaz-e-sehat Kingri, Kot Khan Muhammad aur Kishpan ka muaina kiya gaya. Deputy DHO ne amle ki hazri check ki, vaccine stock, ILR ki halat o maintenance aur cold chain ke intezamat ka jaiza liya aur EPI fixed sites ke record aur dastaveezat ki takmeel dekhi.

Jari 16 roza outreach sargarmiyon ka bhi jaiza liya gaya, field mein tainat vaccinators ki hazri aur mutalliqa dastaveezat check ki gayin aur sargarmiyon ka follow up liya gaya.

Dr Nadir Khan ne hidayat ki ke bachon ki vaccination ka amal mazeed muassar banaya jaye aur vaccine ki munasib nigahdasht, cold chain ki bahali, staff ki hazri aur record ki barwaqt takmeel yaqeeni banai jaye taake EPI program ke ahdaf hasil kiye ja saken.

Tasveer: Bashukriya DG PR Balochistan

Mauzuaat: